Nejlepší skladby od interpreta Rapperiya Baalam
Podobné skladby
Kredity
AUSFÜHRENDE KÜNSTLER:INNEN
Rapperiya Baalam
Künstler:in
Young H
Künstler:in
Meetu Solanki
Künstler:in
KOMPOSITION UND LIEDTEXT
Rapperiya Baalam
Songwriter:in
Jagirdar RV
Songwriter:in
PRODUKTION UND TECHNIK
Rapperiya Baalam
Produzent:in
Texty
[Intro]
Bhagat Singh
Dafa ek sau ikees aur dafa teen sau do ke tahat phaansi
Bina kimat chukaae iss duniya mein kuch hasil nahin hota
Ye sanghursh khoon mangta hai aur hum taiyar hain
Inqlaab zindabad
Jay hind jay hind
[Verse 1]
Jab badh chadh julm sir chadhne lage
Sir katne lage jo sir uthne lage
Log ghutne lage paon bediyan gulaami ki
Shoshan toh bana har din ki kahani thi
Haan awaaz uthi jaag uthi janta
Vidroh vinashak kranti ki aag uthi
Saath uthi chahe chaar so chitaae na aah uthi
Dekh mrityu samaksh firangi fauj bhaag uthi
[Verse 2]
Na khauf albela ri toli mein
Bas inqlaab har boli mein
Rahyo ishq azaadi amar sada
Jyoon saji shaheedi doli mein
Na khauf albela ri toli mein
Bas inqlaab har boli mein
Rahyo ishq azaadi amar sada
Jyoon saji shaheedi doli mein
[Verse 3]
Tufaan roke na rukte hai prabal parvat bhi jhukte hai
Mile rakt ke badle yahan azadi Subhash Chandra ji kehte hai
Tan mann dhan Bharat ko arpan jan jan ne sab tyaag diya
Hua rang bhang shaasan firang le sena ko sang sangraam kiya
[Verse 4]
Honge azad seena taan ke kehte netaji
Jhanda phahren shaan se jaan ki lagaadi baazi
Bose nikle josh se zubaan se sena banaadi
Fauj sarfarosh phir khoon ki nadiya bahadi
[Verse 5]
Marna manzoor woh pehain ke chale kafan
Ek hi junoon sabse pehle mera watan
Bangal baagh kahan gae kaisa hua haadsa tha
Raaj rahe raaj kya kursi ka maamla tha
[Verse 6]
Na khauf albela ri toli mein
Bas inqlaab har boli mein
Rahyo ishq azaadi amar sada
Jyoon saji shaheedi doli mein
[Verse 7]
Na khauf albela ri toli mein
Bas inqlaab har boli mein
Rahyo ishq azaadi amar sada
Jyoon saji shaheedi doli mein
[Verse 8]
Balidan ki mehaindi racha Chandra lalkaar aag awaaz bana
Usne khud maari khud ko goli woh jeete ji na hath laga
Le balidan bagavat baahon mein
Kranti ki kanteeli raahon mein
Woh chala Chandra sapna lekar
Lehre jhanda azad havaao mein
[Verse 9]
Ye sanghursh khoon mangta hai khoon
Arrey mera shareer isi mitti se bana hai aur isi mitti mein mil jaayega
[Verse 10]
Antim eklauti abhilasha mera watan amar azad rahe
Chahe lage aahuti praano ki par kranti ke yagy mein aag rahe
Maa hoon mazboot iraadon se main darta nahin gaddhaaro se
Bas range hath mere maaf tu karna saath mera hathiyaaron se
[Verse 11]
Na khauf albela ri toli mein
Bas inqlaab har boli mein
Rahyo ishq azaadi amar sada
Jyoon saji shaheedi doli mein
[Verse 12]
Na khauf albela ri toli mein
Bas inqlaab har boli mein
Rahyo ishq azaadi amar sada
Jyoon saji shaheedi doli mein
[Verse 13]
Maidaan mein utra mard shair sardar bhagat qurban hua
Maut pe royi dharti maa ambar bhi lahu luhaan hua
Mathe pe dikhi na shikan bhagat ke phaansi ka phanda maut khadi
Balidan ka jhola pehna jab rahi mukh pe hansi moonch taav jadi
[Verse 14]
Bola barud toh phir bahare kaan theek hue
Teeno jawaan taiees march ko shahaied hue
Sansad thi sankat mein dhamake thai jamghat mein
Loot ke kakori kaalikh dali rangat mein
Haq banta hai samman koi bheek nahin
Apmaan shahaied ka kahin se bhi theek nahin
Saal sattar paar tooti netao ki neend nahin
Kaagazon mein Bhagat Singh kyun aaj bhi shahaied nahin
[Verse 15]
Katra katra lahu se mere maati ko kan kan sichunga
Khushhaal rahe ye mulk mera ardas ke panno pe likhunga
Main Bhagat Singh Subhash Chandra ya kabhi Azad main dikhunga
Koi shabd aakhiri likhna ho toh inqlaab hi likhunga
[Verse 16]
Na khauf albela ri toli mein
Bas inqlaab har boli mein
Rahyo ishq azaadi amar sada
Jyoon saji shaheedi doli mein
[Verse 17]
Na khauf albela ri toli mein
Bas inqlaab har boli mein
Rahyo ishq azaadi amar sada
Jyoon saji shaheedi doli mein
Written by: Jagirdar RV, Rapperiya Baalam