Podobné skladby
Kredity
AUSFÜHRENDE KÜNSTLER:INNEN
Kishore Kumar
Leadgesang
Asha Bhosle
Leadgesang
Ravi
Künstler:in
Shailendra
Künstler:in
KOMPOSITION UND LIEDTEXT
Ravi
Komponist:in
PRODUKTION UND TECHNIK
Mystic Media and More LLP
Produzent:in
Texty
Yeh raatein, yeh mausam
Nadi ka kinaara, yeh chanchal hawa
Yeh raatein, yeh mausam
Nadi ka kinaara, yeh chanchal hawa
Kaha do dilon ne
Ke mil kar kabhi hum na honge juda
Yeh raatein, yeh mausam
Nadi ka kinaara, yeh chanchal hawa
Yeh kya baat hai aaj ki chaandni mein
Yeh kya baat hai aaj ki chaandni mein
Ke hum kho gaye pyaar ki raagini mein
Yeh baanhon mein baanhein
Yeh behki nigaahein
Lo, aane laga zindagi ka maza
Yeh raatein, yeh mausam
Nadi ka kinaara, yeh chanchal hawa
Sitaaron ki mehfil ne karke ishaara
Sitaaron ki mehfil ne karke ishaara
Kaha, "Ab toh saara jahaan hai tumhara"
Mohabbat jawaan ho
Khula aasmaan ho
Kare koyi dil aarzoo aur kya?
Yeh raatein, yeh mausam
Nadi ka kinaara, yeh chanchal hawa
Qasam hai tumhein, tum agar mujhse roothe
Qasam hai tumhein, tum agar mujhse roothe
Rahe saans jab tak, yeh bandhan na toote
Tumhein dil diya hai
Yeh vaada kiya hai
Sanam, main tumhari rahungi sada
Yeh raatein, yeh mausam
Nadi ka kinaara, yeh chanchal hawa
Kaha do dilon ne
Ke mil kar kabhi hum na honge juda
Yeh raatein, yeh mausam
Nadi ka kinaara, yeh chanchal hawa
Written by: JalRaj, Ravi, Shailendra